Islam


Shirk kia Hai?

Allah  Tala Apni Zaat, Ibadaat ke laiq Aur Sifaat Main Akela hai jis ki na to koi -Misal Hai Kisi Jandar ya Be-jaan, Zinda Ya Fout Shuda Makhlooq Ko Uski Zaat Main Ya Ibadat Main Ya Uski Sifaat Main Shareek Karna Ya Uske Barabar Samajhna bht bara shirk hai.



Shirk ki kai iqsam hain
  1. bara shirk jo shirk-e-Akbar khlata hai.
  2. chotey darjay ka shirk jo shirk-e-Asghar kehlata hai.
    1. Dikhawa (Riyakari)
    2. Allah ky Siwa ksi aur ki qasm khana etc
Aj kal hr taraf shirk aam ho gya hai.Peer faqeer darbaar aur logon kay charhaway hr taraf aam hain aur ager ap un logon sm Kisi Se Kehte Hain Ke Aap Allah Ke Sath In Buzurgo Ko Q Sharek Bana Rahein Hain To Jawab Milega Hum Inki Ibadat Thori Karte Hain Humto Bus In Naik Logon Ka Waseela Lagate Hain, Bilkul Yehi Jurm To Mushrekeen-e-Makkah ny kia tha, Aage Hum Khud Sochlein Ke Aisa Kaam karne Wale Ko Kya Kaha Jayga Mushrik hi naaaa


No comments:

Post a Comment

Enter comments to stay with latest and new trendz